Admin FrequentlyAbsent (EvenThoughFounder)

Number of posts: 4606 Location: Admin Panel Religion: Islam Registration date: 2007-11-01
 | Subject: Yaar Rahe Sat Nov 14, 2009 7:27 pm | |
| This is possibly my favorite urdu nasheed, this version is sung by moulana adam kapadia: ] Download^ Save target as. Lyrics.
Yaar rahe yaa Rabb tu mera aur mein tera yaar raho Yaar rahe yaa Rabb tu mera aur mein tera yaar raho Mujh ko faqat tujh se ho muhabbat Khalq se mein bezar raho Har dam zikr o fikra mein tere Mast raho sarshaar raho Hosh rahe mujh ko na kisi ka Tera magar hoshiyaar raho Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Tere siwa ma'bood-e-haqeqi, koi nahi hai koi nahi Tere siwa maqsood-e-haqeqi, koi nahi hai koi nahi Tere siwa moujood-e-haqeqi, koi nahi hai koi nahi Tere siwa mash'hood-e-haqeqi, koi nahi hai koi nahi Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Dono jahan main jo kuch bhi hai Sub hai tere zer-e-nageen Jin o ins o hoor o malaik Arsh o kursi charkh o zameen Kon o makan main laiq-e-sajda Tere siwa ae noor-e-mobeen Koi nahi hai, koi nahi hai, koi nahi hai, koi nahi Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Tera gadaa ban kar mein kisika dast nigar e shaa ha na ho Banda ye maalo zarna banu mein taalibe izzoh jaa ha na ho Raahe pe teri parhke qayamat tak mein kabhi gumraah ha na ho Chain na lu mein jab tak raaze wahdat se aagaah ha na ho Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Yaad mein teri sub ko bula don koi na mujh ko yaad rahe Yaad mein teri sub ko bula don koi na mujh ko yaad rahe Tujh par sub ghar baar luta don khana-e-dil abaad rahe Sab khushion ko aag laga don Sab khushion ko aag laga don ghum se tere dil shaad rahe Sab ko nazar se apni gira don tujh se faqat faryaad rahe Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Nafs o shaytaan dono ne milkar haahe kiyaa he mujh ko tabaah Ae mere maula meri madad kar chaaha ta hoo mei teri panaah Mujh sa khalq mein koi nahi go, bad kir daaro namah siyaah Mujh sa khalq mein koi nahi go, bad kir daaro namah siyaah Tu bhi magar ghaffaar hai yaa Rabb Tu bhi magar ghaffaar hai yaa Rabb, bakhsh de mere saare gunaah Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Mujh ko saraapa zikr banade zikr tera ae mere khuda Nikley mere har bune moo se zikr tera ae mere khuda Ab to kabhi chore bhi na choote Ab to kabhi chore bhi na choote zikr tera ae mere khuda Halq se nilkey saas ke badle zikr tera ae mere khuda Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Jab tak qalb rahe pehloo mein, jab tak tan mein jaan rahe Jab tak qalb rahe pehloo mein, jab tak tan mein jaan rahe Lab par tera naam rahe aur, dil mein tera dhyaan rahe Jazb mein parra hosh rahe aur aql meri hairaan rahe Leykin tujh se ghaafil hargiz Leykin tujh se ghaafil hargiz, dil na mera ik aan rahe Ab to rahe bas tadam me akhir wird-e-zuban ae mere ilaa Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah Laa ilaaha illallaahu laa ilaaha illallaah _________________ “There is no worse calamity for knowledge and its people than when outsiders intrude. They are ignorant, but presume to know. They cause trouble yet think that they are helping.” - Imam Ibn Hazm Rahimahullah |
|